Monday, February 25, 2008

tanha dil

teri bewafayi ko karano kase in lafjano mein bayana,
her shabad kam lagta hai.
jo kiya hai tumane usse soch kar,
har lamha bewafa lagata hai.

payare they tum hamne kitane,
ye tum nahi janate.
teri har galati ko apna maan kar,
har bewafayi sahi, tum nahi janate.

ki thi kya khata hamane,
jo tumane hamne ye silla diya.
har shikava,har gila suni hamne,
aur sab kuch sahna hamne hi pada.

teri sirf ek hi baat ko hi,
maine hamesha yaad rakha.
ki tumane koi bhi khata,
har ke upper vo lamha maana sada.

nahi ki maine baat to kya,
tumane kyun nahi ye jahmat uthayi.
karta kase mein tumase baat,
jara batla to deti mujhe.

fir bhi koi baat nahi,
ise bhi apni khata maani hamne.
per tumane ki us baat per ladayi,
jo ki koi baat thi hi nahi.

hamne chor kar aapne,
har kissi ko sab kuch batla daala.
liya hamse ek vaada,
aur khud hi usse chur chur kar daala.

payar tha hamse kiya,
ya sirf ek dikhava tha.
khatha thi hamari kya,
ye aap kabhi na samjha sake.

ki thi aapse mohabbat hamne,
shyad yahi gunah tha hamara.
shyad thik hi kiya aapne,
jo dil tod diya hamara.

..........thanks a lot to you....

No comments: