Payar hota hai kya,
ye ab hum kya batlaye.
itni milli hai vafaye,
ki tumahe payar kase samjhaye.
kya-kya nahi hota payar mein,
ye kase samjhanoo tumahe.
ho jaata hai sab kuch rangeen,
duniya badal jaati hai.
payar karte hai jisese aap,
uske aap ho jaate hai.
chahe kar lo jitna jatan,
per khud-ba-khud badal jaate hai.
sochate hai aaj unse kahenge ye,vo,
per unko dekh kar ruk jaate hai.
khud-ba-khud samjh lenge vo,
ye soch kar khud khud ko smajhate hai.
unke saath har pal rahene ko,
dil ye chatha hai.
bethe rahe samne vo aapke,
aur aankho mein din gujarte rahe saare.
unki awaj na jaane kya,
jaadu sa karti hai.
hoti rahti hai ghanto bakwaas,
per phir bhi dil manata nahi hai.
baatein to hoti hai kam,
kafi waqt saanso ko sunane mein gujar jaata hai.
rah gaya jo waqt vo,
tum bolo,nahi tum bolo mein,gujar jaata hai.
har pal aate hai najar vo,
dil hi dil mein sharmate hai.
unki har ek ada per,
mar mit hum jaate hai.
kissi ko kuch,
to kissi ko kuch aur hi najar aati hai.
samne rahte hai vo jab aapke,
sabse jayda sakoon tab hum paate hai.
unki julafano ke saaye mein,
khone ko ji chahta hai.
unki god mein sar rakhkar,
saare dukhdard mitane ko dil karta hai.
chahe kharabh ho kitni hi,
halat aapki.
vo gar pooch le jo ek baar,
to tabiyat hari ho jaati hai.
unki pareshaniyo ko apna maankar,
suljhane ki kosisein karna,
apne ko na jaane kyun,
har dum unse sudran dikhana.
kissi aur ke saath,
unka dikhana,phir kulbulana.
chah kar bhi,na poochana,
aur poochane per,chup rah jaana.
aur kya kanhoo,payar per mein,
mujhe to kuch aata nahi.
longo ne mujhe diya itna payar,
ki mujse ab sambhala nahi jaata.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment